8/10/2016

Love Aaj Kal

Naye Zamane ka Pyaar (Paikhana!)

Relationships mein padna, bahar nikalna paikhana ban gaya hai...
Din mein do baar aana jaana zaroori ho gaya hai...
Ek hafte se nahi mile matlab koi aur mil gaya hai
'We need to talk' har weekend ka pravachan ban gaya hai...
Left right swipe ke zamane mein pyaar instant ho gaya hai
One Night Stand love ka naya trend ban gaya hai…

Relationships mein padna, bahar nikalna paikhana ban gaya hai...
Din mein do baar aana jaana zaroori ho gaya hai...
I love you se who are you ka safar ek click mein khatam hota hai
Compromise main kyun karun, vo karein… ab har laila, har majnu kehta hai
Inteezar kaun karein, time ab na kisi ke pass hota hai..
Har samasya ka hal ‘c’mon, move on yaar’ hota hai

Relationships mein padna, bahar nikalna paikhana ban gaya hai...
Din mein do baar aana jaana zaroori ho gaya hai...
PDAs mein jo maza ab sabko aata hai
Private mein wo pyaar na janae kaha gul ho jata hai….
Saat janamon ki kasmein ab orkut ho gayi hai
Haan-na bhi ab status update se breaking news ban gayi hai….

Relationships mein padna, bahar nikalna paikhana ban gaya hai...
Din mein do baar aana jaana zaroori ho gaya hai...

Paikhana. Shit. Literally 'faeces',originally from Urdu (slang)

Hai tu yahin pe, kahin pe

Hai tu yahin pe, kahin pe
Meri har saans mein, jeene ki aas mein
Is ranj mein, shayad mere ansh mein
Hai tu yahi pe, kahin pe
Kuch yaad mein, kuch khwab mein
Kuch badalte ehsaas mein..
Hai tu yahi pe, kahin pe
Kuch beete lamhon ki aahat mein
Kuch parchaiyon ke badal mein..
Hai tu yahin pe, kahin pe
Meri har taalash mein...

If you like what I have written, please tweet or share it. Follow me on @itzkundan and let's chat. :)